Keyboard me Function keys F1 se F12 ka kya use hai

Dosto agar aap bhi daily computer ya laptop use karte hain to aise me aapko computer ki function keys ke bare me jarur pata hona chahiye ki aakhir me in function keys yani F1 se lekar F12 sabhi ka kya use hai.

 Use of function keys

To aap is post ko pura read kariyega kyuki is article ke jariye me aapko btane wala hu ki in sabhi function keys ka basically kya use hota hai.

Aapko to pata hi hoga ki aaj ke samay me Computer ya fir laptop hamare liye kitna jaruri ho gaya hai lekin ese me Computer ki function keys ke bare me bahut kam logo ko hi pata hota hai to aapko iske bare me jarur pata hona chahiye.

To aaiye ek ek karke jaan lete hain ki aakhir me in function keys ka kya kaam hai.


Use of function keys :-

F1

Sabse pahla jo function key aata hai uska naam hai F1 aur Iska use basically help center open karne ke liye kiya jata hai.

Yaha par aapko ek baat ka jarur dhyan rakhna hoga ki jab aap apne Computer ke keyboard se F1 key ko press karte hain to aap ise directly press kar sakte hain lekin jab aap laptop me direct F1 press karege to yah work nahi karega iske liye aapko laptop ke function (fn) button ke sath F1 press karna hoga tabhi help center open hoga jaisa ki aap niche image dekh sakte hain.

 Use of function keys

Help center ki madad se aap kisi software ke bare me ya kisi application ke bare me ya fir maan lijiye agar aap koi chrome browser open karte hain aur chrome ke bare me kisi tarah ka help chahte hain to aap apne keyboard me F1 press karke uske bare me pata kar sakte hain to basically F1 ka use help center open karne ke liye kiya jata hai.

F2

F2 key ka use basically rename karne ke liye kiya jata hai. Maan lijiye jab aap apne Computer ya laptop me kisi folder ka name change karte hain to aise me aapko pahle right click karna hota hai fir rename par click karna hota hai tabhi aap us folder ka name change kar pate hain.

Agar aap ise direct karna chahte hain to aapko us folder par click karna hota jiska name change karna chahte hain aur iske baad bas keyboard se F2 press karke aap ise rename kar sakte hain. Isse aapka kafi tame bachta hai.


F3


Iska use aap apne Computer ya fir laptop me application ko search karne ke liye kar sakte hain. Agar aap apne computer ya fir laptop se F3 press karte hain agar aap laptop se use karte hain to aise me aapko function key ke sath F3 press karna hoga tabhi aap application ko search kar sakte hain.

To jaise hi aap F3 press karte hain to Window ka option aa jayega aur aap waha par kuch bhi search kar sakte hain.

Iske alawa iska ek aur use hai ki agar aap koi web browser open karte hain aur aap kisi webpage se koi likha hua text dhudhna chahte hain to wo aap asani se kar sakte hain. Bas aapko apne keyboard me F3 ko press karna hai aur aap no bhi text search karna chahte hain usko waha par likh dijiye aur wo aapko matching results dikha dega.

To basically aap F3 key ka use kisi application ya text ko search karne ke liye kar sakte hain.


F4


Agar aap apne Computer ya laptop me simply F4 ko press karte hain to aise me kuch bhi nahi hoga. Agar aap F4 ko alt ke sath press karte hain yani alt+F4 press karte hain to Jo bhi application aapne open kiya hua hai wo close ho jayega.

Iske sath hi agar aap computer ki desktop screen par aakar alt+F4 press karte hain to waha par aapko shut down aur restart ka option bhi mil jayega. To basically F4 function key ke yahi 2 use hain.


F5


F5 key ka use refresh karne ke liye kiya jata hai.
Maan lijiye agar aap apne Computer ko refresh karna chahte hain to aise me aap apne Computer ki desktop screen par jate hain aur waha par right click karke refresh par click karne ke baad apka Computer refresh hota hai. Agar aap ise directly refresh karna chahte hain to bas keyboard se F5 press karke refresh kar sakte hain.

Iske alawa agar kisi browser me kisi website ko open karte hain aur use refresh karn a chahte hain to F5 dabakar aap asani se us website ko refresh yani reload kar sakte hain.


F6


F6 key ka use volume ko decrease yani kam karne ke liye kiya jata hai. Iske alawa agar aap sidhe kisi browser ke URL par jump karna chahte hain to iska use kar sakte hain.


F7


Agar aap apne Computer ya fir laptop ke desktop screen par F7 press karte hain to aise me kuch bhi nahi hoga. F7 ka use basically tab kiya jata hai jab aap Ms word PowerPoint ya excel me kisi word ki spelling ko check karna chahte hain to F7 press karke aap asani se spelling check kar sakte hain.


F8


F8 key ka safe mode me name ke liye kiya jata hai. maan lijiye agar aap apne Computer ya laptop ko start kar rahe hain to waha par aap F8 key ki madad se asani se safe mode me ja sakte hain.
Iske alawa agar aap Ms word me F8 ko press karte hain to waha par jitne bhi files ya fir text likhe hue hain to wo sabhi select ho jayega. Bas F8 key ke yahi 2 use hote hain.


F9


F9 key ka windows me koi use nahi hai isiliye agar aap computer ya fir laptop ki screen par F9 press karege to kuch bhi nahi hoga kyuki iska use basically Ms word me alt aur shift ke sath kiya jata hai.

F10

Iska bhi Windows me koi use nahi hai isiliye agar aap computer ya laptop ki screen par F10 press karege to kuch bhi nahi hoga. Iska use basically Ms word me kiya jata hai jab aap Ms word me shift MD sath F10 dabate hain to waha par aapko shortcut menu dikha Jo bhi aap use karna chahte hain.


F11


F11 key ka use basically full screen mode ke liye kiya jata hai. maan lijiye agar aap apne Computer ya fir laptop me browser ko open karna chahte hain chahe wo chrome ho internet explorer ho ya fir Firefox koi sa bhi ho agar aap un browser ko full screen mode me use karna chahte hain to aap un browser ko open kijiye or uske baad F11 ko press kijiye to aapka browser full screen mode me open ho jayega.

F12


Agar aap apne laptop me simply F12 ko bina function key ke press karte hain to aise me aapka laptop flight mode me chala jayega.
Aur agar function key ke sath Computer ya fir laptop me F12 ko press karte hain to aise me apke Computer ya laptop me kuch bhi nahi hoga iska desktop me to koi use nahi hai. Iska use only Ms word me kiya jata hai.
   Jab aap Ms word me F12 ko press karte hain to aapka file save ho jayega. To basically F12 ka yahi use hai.

To ye the computerya laptop me F1 se lekar F12 tak sabhi function keys ke use.
Halaki iske alawa inke aur bhi use hain Maine bas aapko inke main uses ke bare
me bataya hai.

To ab aap bhi jaan gaye honge ki Jo F1 se F12 tak Jo function keys diye rahte hain inka basically kya use hota hai.

I hope ye post aapke liye useful rahi hogi agar aapko hamari ye post pasand aayi ho to ise apne friends ke sath social media par share jarur kare.





Previous
Next Post »