Gmail me cc aur bcc kya hain

Mera ek dost tha wo ek company me interview dene ke liye gaya aur waha usse puchha gaya kya aapko mail karna aata hai ?
Usne kaha bilkul aata hai , bataiye kisko karna hai.
Tab boss ne usse puchha to chalo thik hai achha ye batao , email me cc aur bcc kya hota hai ?
Bas dabba goal.........

Bahut sare logo ko nahi pata hai ki jab ham email karte hain aur waha par "To" ke baad me jo "cc" aur "bcc" likha rahta hai uska kya matlab hota hai aur wo kis kaam me aate hain.

Gmail me cc aur bcc kya hain

To agar aap bhi kahi interview dene ke liye ja rahe hain to ho sakta hai aapse bhi ye puchh liya jaye.


"CC aur " BCC" kya hain

To aaj ke is post me aap yahi janege ki email me "To" ke baad me jo "cc" aur "bcc" ke Jo 2 option milte hain unka kya use hai.
Pahli chiz to ham ye samajh lete hai Cc aur Bcc ki full form kya hoti hain ?

To Cc ki full form hoti hai "Carbon Copy" aur Bcc ki full form hoti hai "Blind Carbon Copy"
To ab ye dono kaam kaise karte hain.

Chahiye maan lete hain ek company hain aur us company me sabse uper ek boss hai aur boss ne apne under me ek manager rakha hai aur manager ke under me is company ke employees hain.

Gmail me cc aur bcc kya hain

Ab manager un sabhi ko handle karta hai ab agar manager ko koi information apne employees ko deni hai to wo waha par ek mail likhega aur "To" me un sabhi employees ki email id ko type kar dega.

Gmail me cc aur bcc kya hain


ab jab wo email un sabhi employees ko bhejega to wo mail ek sath me sabhi ke paas chali jayegi aur sabhi ko pata chal jayega ki mere alawa ye aur 10 logo ko bhi bheji gayi hai.

Ab baat karte hain Cc kya hai to dekhiye manager ke under me to employees aate hi hain aur wo unhe koi bhi order de sakta hai lekin agar Usi email ki copy wo apne boss ko bhejna chahega to wo "To" me nhi likhega kyuki agar wo "To" me likhega to waha par wo unke liye order ho jayega

To yaha par jo copy hai wo "Cc" me karke apne boss ko bhejega aur Hindi me Cc ko "pratilipi" kahte hain.
Jaise koi adhikari apne employees ko order deta hai aur iski ek copy apne kisi bade adhikari ko bhejta to niche "pratilipi" kar deta hai same wahi tarika hai email me ki agar aap kisi ko mailb hej rahe hai aur aap chahte hain ki aap apne senior ko uski ek copy or bhejta de to aapko wo "Cc" me likhna padta hai.

To isme hoga kya ki aapke employees ko ye pata rahega ki hamare boss ko bhi iski ek copy bheji gayi hai.

Ab baat kar lete hain "Bcc" ke bare me to "Bcc" me aap Jo bhi email id dalkar kisi ko mail bhejte hain , wo bilkul separate rahti hai aur wo "To" walo ko display nhi hoti , "To" me aap jitne bhi logo ko bhejege aur iske sath me aap "Cc" me kisi email ko type kar dete hain to "To" wale dekh payege ki bhaiya "Cc" me ye hamare boss ko ek copy bheji gayi hai.

Lekin agar aap boss ko usi email ki ek aisi copy bhejna chahte hain joki "To" wale logo ko dikhai na de to aap usko "Bcc" me type kar sakte hain.
Is prakar ye bilkul blindly jayegi kisiko dikhai nahi degi to is tarah ek separate email bheja ja sakta hai.

Keval professional log hi iska istemal karte hain aam taur par hame agar kisi ko email bhejna hota hai to ham jaldi se type karte hain or bhej dete hai , badi badi companies me or office me jyadatar "Cc" aur "Bcc" ka hi use hota hai.


Aasha hai ki aap "Cc" aur "Bcc" me antar samajh gaye hoge.
" agar aapko ye jankari pasand aayi ho to ise social media par apne dosto ke sath jarur share kare."
Previous
Next Post »